har ghaDi shahr-e-KHamoshan ka saman rahta hai
har ghaḌī shahr-e-ḳhamoshāñ kā samāñ rahtā hai
dil kī bastī meñ shab-o-roz dhuāñ rahtā hai
merī badlī huī hālat kā bhī mafhūm samajh
in dinoñ mujh se ḳhafā dushman-e-jāñ rahtā hai
aa.ina toḌ ke kyoñ joḌ rahe haiñ sāhib
zaḳhm bhar jaatā hai par us kā nishāñ rahtā hai
mere vīrāne kī afsurda fazāoñ pe na jā
is ḳharābe meñ bhī ik sho.ala-ba-jāñ rahtā hai
sard hotā hī nahīñ mausam-e-yaḳh-basta meñ
merī shiryānoñ meñ jo raqs-kunāñ rahtā hai
jaane vo kaun sī ḳhūbī kā hai mālik 'paikar'
saarī duniyā chalī aatī hai jahāñ rahtā hai
har ghaDi shahr-e-KHamoshan ka saman rahta hai
dil ki basti mein shab-o-roz dhuan rahta hai
meri badli hui haalat ka bhi mafhum samajh
in dinon mujh se KHafa dushman-e-jaan rahta hai
aaina toD ke kyon joD rahe hain sahib
zaKHm bhar jata hai par us ka nishan rahta hai
mere virane ki afsurda fazaon pe na ja
is KHarabe mein bhi ek shoala-ba-jaan rahta hai
sard hota hi nahin mausam-e-yaKH-basta mein
meri shiryanon mein jo raqs-kunan rahta hai
jaane wo kaun si KHubi ka hai malik 'paikar'
sari duniya chali aati hai jahan rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.