Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har gosha-e-chaman mein nawa-e-hazar hai

D. Raj Kanwal

har gosha-e-chaman mein nawa-e-hazar hai

D. Raj Kanwal

MORE BYD. Raj Kanwal

    har gosha-e-chaman meñ navā-e-hazār hai

    shāyad ki aaj āmad-e-fasl-e-bahār hai

    daa.im yahāñ ḳhushī hai na ġham pā.edār hai

    phir kis liye jahāñ meñ bashar sogvār hai

    vaise to zindagī se ta'alluq nahīñ rahā

    zinda huuñ is liye ki tirā intizār hai

    haiñ un ke paas saare zamāne ne'mateñ

    le de ke mere paas dil-e-dāġh-dār hai

    maiñ jāntā huuñ ab vo na ā.eñge lauT kar

    vā'de par un ke phir bhī mujhe e'tibār hai

    lagtā hai ab qarīb manzil hai dosto

    chhāyā huā fazā meñ jo gard-o-ġhubār hai

    dā'vā to kar rahe haiñ sabhī hosh 'kañval'

    dekho to hosh meñ bhī koī hoshiyār hai

    har gosha-e-chaman mein nawa-e-hazar hai

    shayad ki aaj aamad-e-fasl-e-bahaar hai

    daim yahan KHushi hai na gham paedar hai

    phir kis liye jahan mein bashar sogwar hai

    waise to zindagi se ta'alluq nahin raha

    zinda hun is liye ki tera intizar hai

    hain un ke pas sare zamane ki ne'maten

    le de ke mere pas dil-e-dagh-dar hai

    main jaanta hun ab wo na aaenge lauT kar

    wa'de par un ke phir bhi mujhe e'tibar hai

    lagta hai ab qarib hi manzil hai dosto

    chhaya hua faza mein jo gard-o-ghubar hai

    da'wa to kar rahe hain sabhi hosh ka 'kanwal'

    dekho to hosh mein bhi koi hoshiyar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now