Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har gul hai sogwar mujhe kuchh pata nahin

Nayyar Qureshi Gangohi

har gul hai sogwar mujhe kuchh pata nahin

Nayyar Qureshi Gangohi

MORE BYNayyar Qureshi Gangohi

    har gul hai sogvār mujhe kuchh pata nahīñ

    kyā kar ga.ī bahār mujhe kuchh pata nahīñ

    de kar fareb aap ne luuTā hai kis qadar

    pūchho na hāl-e-zār mujhe kuchh pata nahīñ

    murjhā ga.e haiñ phuul nazāre udaas haiñ

    kyūñkar luTī bahār mujhe kuchh pata nahīñ

    khāyā to hai hasīn ik zaḳhm dil pe aaj

    kis ne kiyā hai vaar mujhe kuchh pata nahīñ

    sehn-e-chaman meñ khil ga.ī jaise kalī kalī

    dil kyoñ hai dāġh-dār mujhe kuchh pata nahīñ

    hai dostoñ baat magar kuchh na pūchhiye

    kitne haiñ ġham-gusār mujhe kuchh pata nahīñ

    mub.ham ek ḳhāka-e-rangīñ nazar meñ hai

    kis hai intizār mujhe kuchh pata nahīñ

    'nayyar' jahāñ meñ vaqf haiñ kyoñ mere vāste

    āfāt-e-rozgār mujhe kuchh pata nahīñ

    har gul hai sogwar mujhe kuchh pata nahin

    kya kar gai bahaar mujhe kuchh pata nahin

    de kar fareb aap ne luTa hai kis qadar

    puchho na haal-e-zar mujhe kuchh pata nahin

    murjha gae hain phul nazare udas hain

    kyunkar luTi bahaar mujhe kuchh pata nahin

    khaya to hai hasin sa ek zaKHm dil pe aaj

    kis ne kiya hai war mujhe kuchh pata nahin

    sehn-e-chaman mein khil gai jaise kali kali

    dil kyon hai dagh-dar mujhe kuchh pata nahin

    hai doston ki baat magar kuchh na puchhiye

    kitne hain gham-gusar mujhe kuchh pata nahin

    mubham sa ek KHaka-e-rangin nazar mein hai

    kis ka hai intizar mujhe kuchh pata nahin

    'nayyar' jahan mein waqf hain kyon mere waste

    aafat-e-rozgar mujhe kuchh pata nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now