har ghunche ko KHum phul ko paimana bana de
har ġhunche ko ḳhum phuul ko paimāna banā de
jo chāhe tirā jalva-e-mastāna banā de
majbūr huā huuñ ḳhirad-o-aql ke hāthoñ
mujh ko ḳhirad-o-aql se begāna banā de
har zarra-e-hastī ko mire kaif atā kar
TuuTā huā dil huuñ mujhe paimāna banā de
kuchh soz bhī kuchh saaz bhī ho dil kī taḌap meñ
ḳhud sham.a use ḳhud use parvāna banā de
hai tishna-e-mai aaj fazā saare chaman kī
apnī nigah-e-mast ko mai-ḳhāna banā de
denā hai agar mujh ko to de dard bharā dil
phir dil ko mire dard kā afsāna banā de
'muslim' ko hai ab aise hī jalve kī tamanna
vo jalva jo ka.abe ko bhī but-ḳhāna banā de
har ghunche ko KHum phul ko paimana bana de
jo chahe tera jalwa-e-mastana bana de
majbur hua hun KHirad-o-aql ke hathon
mujh ko KHirad-o-aql se begana bana de
har zarra-e-hasti ko mere kaif ata kar
TuTa hua dil hun mujhe paimana bana de
kuchh soz bhi kuchh saz bhi ho dil ki taDap mein
KHud shama use KHud use parwana bana de
hai tishna-e-mai aaj faza sare chaman ki
apni nigah-e-mast ko mai-KHana bana de
dena hai agar mujh ko to de dard bhara dil
phir dil ko mere dard ka afsana bana de
'muslim' ko hai ab aise hi jalwe ki tamanna
wo jalwa jo kabe ko bhi but-KHana bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.