har guzarta pal naya ek masala deta gaya
har guzarta pal naya ek masala deta gaya
Mohammad Habeeb Habeeb
MORE BYMohammad Habeeb Habeeb
har guzartā pal nayā ik mas.ala detā gayā
har guzartā din na.e ġham kā pata detā gayā
tapte sahrā se tamanna chhāñv kī be-sūd thī
ham ki chalte hī ga.e vo aabla detā gayā
dasht-e-furqat jān-levā ho gayā us dam mujhe
ik tasavvur aap kā bas hausla detā gayā
mubtalā-e-gardish-e-hālāt maiñ jab jab huā
mujh ko saaya apnī rahmat kā ḳhudā detā gayā
bas ye e.ajāz-e-mohabbat thā ki merī qabr par
sang-dil se sang-dil bhī fātiha detā gayā
vasf-e-fann-e-shā.irī miltā gayā juuñ juuñ mujhe
maiñ bhī thā faiyyaz bas letā gayā detā gayā
allah allah naza.a kā aalam thā lekin vo 'habīb'
jaate jaate mujh ko jiine kī duā detā gayā
har guzarta pal naya ek masala deta gaya
har guzarta din nae gham ka pata deta gaya
tapte sahra se tamanna chhanw ki be-sud thi
hum ki chalte hi gae wo aabla deta gaya
dasht-e-furqat jaan-lewa ho gaya us dam mujhe
ek tasawwur aap ka bas hausla deta gaya
mubtala-e-gardish-e-haalat main jab jab hua
mujh ko saya apni rahmat ka KHuda deta gaya
bas ye eajaz-e-mohabbat tha ki meri qabr par
sang-dil se sang-dil bhi fatiha deta gaya
wasf-e-fann-e-shairi milta gaya jun jun mujhe
main bhi tha faiyyaz bas leta gaya deta gaya
allah allah naza ka aalam tha lekin wo 'habib'
jate jate mujh ko jine ki dua deta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.