har har shajar umid tha har har shajar tha yas
har har shajar umid tha har har shajar tha yas
Shamsur Rahman Faruqi
MORE BYShamsur Rahman Faruqi
har har shajar umiid thā har har shajar thā yaas
har har shajar kī chhāoñ meñ ik shahr ban gayā
phūlā-phalā thā vaqt ke hāthoñ to vaqt hī
sahrā-e-ārzū ke liye zahr ban gayā
namnāk rū-e-shām pe gul-chāñdnī kā rang
jalte pe tel sā hī koī qahr ban gayā
bādal kā āsmān pe bantā bigaḌtā ruup
yād-e-mizāj-e-yār kī ik lahr ban gayā
shab ko tirā ḳhayāl sukūt-e-namāz meñ
āmīn kī hikāyat-e-bil-jahr ban gayā
har har shajar umid tha har har shajar tha yas
har har shajar ki chhaon mein ek shahr ban gaya
phula-phala tha waqt ke hathon to waqt hi
sahra-e-arzu ke liye zahr ban gaya
namnak ru-e-sham pe gul-chandni ka rang
jalte pe tel sa hi koi qahr ban gaya
baadal ka aasman pe banta bigaDta rup
yaad-e-mizaj-e-yar ki ek lahr ban gaya
shab ko tera KHayal sukut-e-namaz mein
aamin ki hikayat-e-bil-jahr ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.