har hasin KHwab dam-e-subh bikharte dekha
har hasīñ ḳhvāb dam-e-sub.h bikharte dekhā
gesū-e-ranj-o-alam ko bhī sañvarte dekhā
husn-e-maġhrūr ko be-maut hī marte dekhā
ishq-e-majbūr ko har dar se guzarte dekhā
qad baḌhāne ke liye ḳhabroñ meñ aane ke liye
husn-e-afkār ke dāman ko kutarte dekhā
maiñ ne ābād hue dekhā hai vīrānoñ ko
dil kī duniyā ko ka.ī baar bikharte dekhā
Dūbtā hai jahāñ har roz chamaktā dekhā
zulmat-e-shab meñ vahīñ chāñd ubharte dekhā
fasl-e-gul meñ bhī hai ġhunchoñ pe udāsī kā samāñ
shāḳh par kāñToñ kā bhī rang nikharte dekhā
fan kī dahlīz pe is ahd ke fankāroñ ko
apnī peshānī shab-o-roz ragaḌte dekhā
har hasin KHwab dam-e-subh bikharte dekha
gesu-e-ranj-o-alam ko bhi sanwarte dekha
husn-e-maghrur ko be-maut hi marte dekha
ishq-e-majbur ko har dar se guzarte dekha
qad baDhane ke liye KHabron mein aane ke liye
husn-e-afkar ke daman ko kutarte dekha
main ne aabaad hue dekha hai viranon ko
dil ki duniya ko kai bar bikharte dekha
Dubta hai jahan har roz chamakta dekha
zulmat-e-shab mein wahin chand ubharte dekha
fasl-e-gul mein bhi hai ghunchon pe udasi ka saman
shaKH par kanTon ka bhi rang nikharte dekha
fan ki dahliz pe is ahd ke fankaron ko
apni peshani shab-o-roz ragaDte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.