har hasin mehrban hai baba
har hasīñ mehrbān hai baabā
dam qadam imtihān hai baabā
us ke ġhusse meñ naġhmagī sī hai
vo bahut ḳhush-bayān hai baabā
vo yaqīñ thā jo 'ahd-e-māzī meñ
aaj misl-e-gumān hai baabā
hai ḳhafā aaj har ḳhushī mujh se
ġham bahut mehrbān hai baabā
karb-e-ġham meñ bhī muskurā denā
ham se logoñ kī shaan hai baabā
dil bhaTaktā nahīñ hai 'rāshid' kā
'aql jo darmiyān hai baabā
har hasin mehrban hai baba
dam qadam imtihan hai baba
us ke ghusse mein naghmagi si hai
wo bahut KHush-bayan hai baba
wo yaqin tha jo 'ahd-e-mazi mein
aaj misl-e-guman hai baba
hai KHafa aaj har KHushi mujh se
gham bahut mehrban hai baba
karb-e-gham mein bhi muskura dena
hum se logon ki shan hai baba
dil bhaTakta nahin hai 'rashid' ka
'aql jo darmiyan hai baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.