har hukmran aa ke ba-sad-naz-o-iftiKhaar
har hukmrān aa ke ba-sad-nāz-o-iftiḳhār
sachchī zamīñ pe khīñchtā hai jhuuT kā hisār
munsif ke bhī gale meñ hai ik tauq-e-fard-e-jurm
insāf kis se māñgte ham se gunāhgār
aalim kī guftugū se bhī aatī hai bū-e-ḳhūñ
saudā ne apne sheroñ meñ likkhā hai bār-bār
har madrase meñ dars-e-shahādat hai surḳh-rū
dars-e-hayāt saare hue nazr-e-intishār
har hukmran aa ke ba-sad-naz-o-iftiKHar
sachchi zamin pe khinchta hai jhuT ka hisar
munsif ke bhi gale mein hai ek tauq-e-fard-e-jurm
insaf kis se mangte hum se gunahgar
aalim ki guftugu se bhi aati hai bu-e-KHun
sauda ne apne sheron mein likkha hai bar-bar
har madrase mein dars-e-shahadat hai surKH-ru
dars-e-hayat sare hue nazr-e-intishaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.