har ek chalan mein usi mehrban se milti hai
har ik chalan meñ usī mehrbāñ se miltī hai
zamīñ zarūr kahīñ āsmāñ se miltī hai
surūd-e-ishq meñ naġhmāt-e-sahr shāmil haiñ
tirī ḳhabar bhī mirī dāstāñ se miltī hai
tirī nigāh se āḳhir atā huī dil ko
vo ik ḳhalish ki ġham-e-do-jahāñ se miltī hai
chale haiñ 'saif' vahāñ ham ilāj-e-ġham ke liye
diloñ ko dard kī daulat jahāñ se miltī hai
har ek chalan mein usi mehrban se milti hai
zamin zarur kahin aasman se milti hai
surud-e-ishq mein naghmat-e-sahr shamil hain
teri KHabar bhi meri dastan se milti hai
teri nigah se aaKHir ata hui dil ko
wo ek KHalish ki gham-e-do-jahan se milti hai
chale hain 'saif' wahan hum ilaj-e-gham ke liye
dilon ko dard ki daulat jahan se milti hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 221)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.