har ek dil ka ye qissa rah gaya hai
har ik dil kā ye qissa rah gayā hai
makāñ TuuTā hai malba rah gayā hai
kahāñ dushman kā ḳhadsha rah gayā hai
faqat apnoñ se ḳhatra rah gayā hai
tirī zulfoñ ke saa.e meñ simaT kar
yuuñ lagtā hai saverā rah gayā hai
kahāñ DhūñDūñ ki āñkhoñ meñ samā kar
koī gumnām jalva rah gayā hai
kisī kī bhī nahīñ aayā samajh meñ
vo ban kar ik muamma rah gayā hai
chalā thā sab ko vo apnā banāne
bharī duniyā meñ tanhā rah gayā hai
havāoñ kā bajā hai zor pyāre
shajar par ek patta rah gayā hai''
divāna chhoḌ aayā thā jahāñ par
vahīñ Thahrā zamāna rah gayā hai
siyāsat siikh lenī hai 'nisār' ab
yahī to ek dhandā rah gayā hai
har ek dil ka ye qissa rah gaya hai
makan TuTa hai malba rah gaya hai
kahan dushman ka KHadsha rah gaya hai
faqat apnon se KHatra rah gaya hai
teri zulfon ke sae mein simaT kar
yun lagta hai sawera rah gaya hai
kahan DhunDun ki aankhon mein sama kar
koi gumnam jalwa rah gaya hai
kisi ki bhi nahin aaya samajh mein
wo ban kar ek muamma rah gaya hai
chala tha sab ko wo apna banane
bhari duniya mein tanha rah gaya hai
hawaon ka baja hai zor pyare
shajar par ek patta rah gaya hai
diwana chhoD aaya tha jahan par
wahin Thahra zamana rah gaya hai
siyasat sikh leni hai 'nisar' ab
yahi to ek dhanda rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.