har ek ke dukh pe jo ahl-e-qalam taDapta tha
har ik ke dukh pe jo ahl-e-qalam taḌaptā thā
ḳhud us kā apnā har ik dard us pe hañstā thā
maiñ aaj kyuuñ tah-e-dāmāñ bhī jal nahīñ saktā
mirā hī sho'la havāoñ pe kal lapaktā thā
zamāne-bhar kī adāoñ ko sah rahā huuñ aaj
kabhī maiñ apnī adāoñ se bhī bigaḌtā thā
vo merī shakl se bezār ho rahā hai aaj
jo shaḳhs kal mirī āvāz ko tarastā thā
tamām shab jise baḳhshe the reshmī gesū
sahar huī to vo sar daar par laTaktā thā
mirī giraft meñ kaun-o-makāñ kī baag thī jab
mirā vujūd mirī ruuh se laraztā thā
har ik se Dartā huuñ maiñ aaj ik ḳhudā ke sivā
kabhī vo din the ki bas ik ḳhudā se Dartā thā
lo aaj tū ne bhī dīvāna kah diyā mujh ko
tire hī dil meñ to merā suḳhan utartā thā
ye kyā kiyā mujhe merī nazar se chhīn liyā
usī lahū se charāġh-e-vajūd jaltā thā
kisī sitam meñ bhī ik raunaq-e-ta.alluq hai
vagarna yuuñ to maiñ tanhā.iyoñ meñ Dhaltā thā
tirā sañbhalnā bhī girnā hai in dinoñ 'dārā'
kahāñ vo din ki tū girne meñ bhī sañbhaltā thā
har ek ke dukh pe jo ahl-e-qalam taDapta tha
KHud us ka apna har ek dard us pe hansta tha
main aaj kyun tah-e-daman bhi jal nahin sakta
mera hi sho'la hawaon pe kal lapakta tha
zamane-bhar ki adaon ko sah raha hun aaj
kabhi main apni adaon se bhi bigaDta tha
wo meri shakl se bezar ho raha hai aaj
jo shaKHs kal meri aawaz ko tarasta tha
tamam shab jise baKHshe the reshmi gesu
sahar hui to wo sar dar par laTakta tha
meri giraft mein kaun-o-makan ki bag thi jab
mera wujud meri ruh se larazta tha
har ek se Darta hun main aaj ek KHuda ke siwa
kabhi wo din the ki bas ek KHuda se Darta tha
lo aaj tu ne bhi diwana kah diya mujh ko
tere hi dil mein to mera suKHan utarta tha
ye kya kiya mujhe meri nazar se chhin liya
usi lahu se charagh-e-wajud jalta tha
kisi sitam mein bhi ek raunaq-e-talluq hai
wagarna yun to main tanhaiyon mein Dhalta tha
tera sanbhalna bhi girna hai in dinon 'dara'
kahan wo din ki tu girne mein bhi sanbhalta tha
- Book : Auraaq (Pg. 46)
- Author : Vazeer Agha
- Publication : Office auraq. chouck Urdu Bazar, Lahore (Nov. Dec. 1974)
- Edition : Nov. Dec. 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.