har ek KHwab-e-pareshan ko to suljhaya nahin jata
har ek KHwab-e-pareshan ko to suljhaya nahin jata
Aqeel Siddqui Maahir
MORE BYAqeel Siddqui Maahir
har ik ḳhvāb-e-pareshāñ ko to suljhāyā nahīñ jaatā
jo ġham hai dostoñ kā vo bhī samjhāyā nahīñ jaatā
vo ik mushkil jo kū-e-yār se dār-o-rasan tak thī
vajūd us kā dimāġh-o-dil meñ ab paayā nahīñ jaatā
harārat ishq kī Duubī salāsil kī sadāoñ meñ
zabāñ par garmi-e-lab kyā hai batlāyā nahīñ jaatā
kabhī ham saath rahte the kabhī nārāz ho jaate
na jaane zehn se kyoñ pyaar kā saayā nahīñ jaatā
ajab sī ek uljhan hai ayaañ karnā bhī mushkil hai
hiqārat kā nivālā ham se to khāyā nahīñ jaatā
badan meñ aag hai 'māhir' na ThanDak koī bātoñ meñ
nigāhoñ se koī dil aaj garmāyā nahīñ jaatā
har ek KHwab-e-pareshan ko to suljhaya nahin jata
jo gham hai doston ka wo bhi samjhaya nahin jata
wo ek mushkil jo ku-e-yar se dar-o-rasan tak thi
wajud us ka dimagh-o-dil mein ab paya nahin jata
hararat ishq ki Dubi salasil ki sadaon mein
zaban par garmi-e-lab kya hai batlaya nahin jata
kabhi hum sath rahte the kabhi naraaz ho jate
na jaane zehn se kyon pyar ka saya nahin jata
ajab si ek uljhan hai ayan karna bhi mushkil hai
hiqarat ka niwala hum se to khaya nahin jata
badan mein aag hai 'mahir' na ThanDak koi baaton mein
nigahon se koi dil aaj garmaya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.