har ek ko dusre se adawat hai aaj-kal
har ik ko dūsre se adāvat hai āj-kal
kohrām zindagī kī alāmat hai āj-kal
lab kholnā hī jurm-e-baġhāvat hai āj-kal
jailoñ meñ band shān-e-ḳhitābat hai āj-kal
sar pe pahan ke nikle haiñ dastār sab magar
izzat kahāñ kisī kī salāmat hai āj-kal
andar kī TuuT phuuT hai bikhrā huā huuñ maiñ
mujh ko bahut hī apnī zarūrat hai āj-kal
apnī ġharaz se miltā hai miltā hai jo koī
sach pūchhiye to kis ko mohabbat hai āj-kal
ham ne phir apnī aas ke ḳheme jalā diye
dar-pesh ham ko ik na.ī hijrat hai āj-kal
mahfil bhī un kī raas na aa.ī hameñ 'vakīl'
be-kaif sī ajiib tabī.at hai āj-kal
har ek ko dusre se adawat hai aaj-kal
kohram zindagi ki alamat hai aaj-kal
lab kholna hi jurm-e-baghawat hai aaj-kal
jailon mein band shan-e-KHitabat hai aaj-kal
sar pe pahan ke nikle hain dastar sab magar
izzat kahan kisi ki salamat hai aaj-kal
andar ki TuT phuT hai bikhra hua hun main
mujh ko bahut hi apni zarurat hai aaj-kal
apni gharaz se milta hai milta hai jo koi
sach puchhiye to kis ko mohabbat hai aaj-kal
hum ne phir apni aas ke KHeme jala diye
dar-pesh hum ko ek nai hijrat hai aaj-kal
mahfil bhi un ki ras na aai hamein 'wakil'
be-kaif si ajib tabiat hai aaj-kal
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 135)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.