har ek lamha naya ek saneha hai
har ik lamha nayā ik sāneha hai
ilāhī zindagī hai yā sazā hai
vo dīvāna jo girvīda thā kal tak
tire kūche se dil-bardashta hai
nahīñ mamnūn koī bhī kisī kā
jise dekho vahī ḳhud-sāḳhta hai
yahāñ sab ko paḌī hai apnī apnī
kaho kyā roz-e-mahshar aa gayā hai
nahīñ pahchāntā koī kisī ko
faqat ik dūsre ko dekhtā hai
havā-e-garm har-sū chal rahī hai
nagar dil kā bahut sunsān sā hai
kināre duur hote jā rahe haiñ
safīna kaun sī jānib chalā hai
bahut masrūr hai 'shāriq' jahāñ meñ
tirī ulfat ne jaane kyā diyā hai
har ek lamha naya ek saneha hai
ilahi zindagi hai ya saza hai
wo diwana jo girwida tha kal tak
tere kuche se dil-bardashta hai
nahin mamnun koi bhi kisi ka
jise dekho wahi KHud-saKHta hai
yahan sab ko paDi hai apni apni
kaho kya roz-e-mahshar aa gaya hai
nahin pahchanta koi kisi ko
faqat ek dusre ko dekhta hai
hawa-e-garm har-su chal rahi hai
nagar dil ka bahut sunsan sa hai
kinare dur hote ja rahe hain
safina kaun si jaanib chala hai
bahut masrur hai 'shaariq' jahan mein
teri ulfat ne jaane kya diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.