har ek mahaul se beganagi mahsus hoti hai
har ik māhaul se begānagī mahsūs hotī hai
kahīñ apnī kahīñ terī kamī mahsūs hotī hai
abhī se kyuuñ judā.ī kī aziyyat kā kareñ shikva
abhī dil meñ tirī maujūdgī mahsūs hotī hai
mohabbat kā karishma koī dekhe tere kūche meñ
khule bandoñ yahāñ luT kar ḳhushī mahsūs hotī hai
tire irshād-e-be-āvāz ko jab dil se suntā huuñ
ḳhamoshī guftugū kartī huī mahsūs hotī hai
tasallut hai abhī josh-e-junūñ par hosh-mandī kā
abhī dīvāngī dīvāngī mahsūs hotī hai
unheñ pā kar bhī rahtā hai tajassus kā vahī aalam
koī shai jis tarah khoī huī mahsūs hotī hai
talāsh apnī hai yā un kī kuchh andāza nahīñ hotā
basā-auqāt yuuñ āvārgī mahsūs hotī hai
tirī nazroñ kā nashtar to ba-rū-e-kār hai lekin
mohabbat kī ḳhalish meñ kyuuñ kamī mahsūs hotī hai
ye maanā ajnabiyyat kī fazā hai bazm-e-ālam meñ
magar har shakl pahchānī huī mahsūs hotī hai
kisī ko dekh kar yārab ye ab kyā dekhtā huuñ maiñ
nazar anvār meñ khoī huī mahsūs hotī hai
nahīñ hote to hotī haiñ 'rishī' tārīkiyāñ dil meñ
vo hote haiñ to dil meñ raushnī mahsūs hotī hai
har ek mahaul se beganagi mahsus hoti hai
kahin apni kahin teri kami mahsus hoti hai
abhi se kyun judai ki aziyyat ka karen shikwa
abhi dil mein teri maujudgi mahsus hoti hai
mohabbat ka karishma koi dekhe tere kuche mein
khule bandon yahan luT kar KHushi mahsus hoti hai
tere irshad-e-be-awaz ko jab dil se sunta hun
KHamoshi guftugu karti hui mahsus hoti hai
tasallut hai abhi josh-e-junun par hosh-mandi ka
abhi diwangi diwangi mahsus hoti hai
unhen pa kar bhi rahta hai tajassus ka wahi aalam
koi shai jis tarah khoi hui mahsus hoti hai
talash apni hai ya un ki kuchh andaza nahin hota
basa-auqat yun aawargi mahsus hoti hai
teri nazron ka nashtar to ba-ru-e-kar hai lekin
mohabbat ki KHalish mein kyun kami mahsus hoti hai
ye mana ajnabiyyat ki faza hai bazm-e-alam mein
magar har shakl pahchani hui mahsus hoti hai
kisi ko dekh kar yarab ye ab kya dekhta hun main
nazar anwar mein khoi hui mahsus hoti hai
nahin hote to hoti hain 'rishi' tarikiyan dil mein
wo hote hain to dil mein raushni mahsus hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.