har ek mahaz ko tanha sambhaale baiThe hain
har ek mahaz ko tanha sambhaale baiThe hain
Noorul Ain Qaisar Qasmi
MORE BYNoorul Ain Qaisar Qasmi
har ik mahāz ko tanhā sambhāle baiThe haiñ
ham ek dil meñ ka.ī rog paale baiThe haiñ
abhī na zor dikhā.e ye kah do āñdhī se
abhī ham apne irādoñ ko Taale baiThe haiñ
sitamgaroñ ne bahāroñ pe kar liyā qabza
chaman ko ḳhūn-e-jigar dene vaale baiThe haiñ
batā.eñ kyā ki hamāre hī rahnumā ab to
hamārī raah meñ ḳhanjar nikāle baiThe haiñ
zamīñ pe apnā baserā to hai magar 'qaisar'
nigāheñ chāñd-sitāroñ pe Daale baiThe haiñ
har ek mahaz ko tanha sambhaale baiThe hain
hum ek dil mein kai rog pale baiThe hain
abhi na zor dikhae ye kah do aandhi se
abhi hum apne iradon ko Tale baiThe hain
sitamgaron ne bahaaron pe kar liya qabza
chaman ko KHun-e-jigar dene wale baiThe hain
bataen kya ki hamare hi rahnuma ab to
hamari rah mein KHanjar nikale baiThe hain
zamin pe apna basera to hai magar 'qaisar'
nigahen chand-sitaron pe Dale baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.