har ek mahfil mein hai charcha hamara
har ik mahfil meñ hai charchā hamārā
ajab hai dard kā qissa hamārā
zarā sā ḳhud ko maiñ ne chup kiyā to
bahut achchhā nibhā rishta hamārā
bhalā manzil kahāñ se chain degī
kahīñ bhī dil nahīñ lagtā hamārā
isī Dar se kamāyā har tarah se
koī na pūchh le rutba hamārā
purānā ho chukā majnūñ kā qissa
so ab sahrā pe hai qabza hamārā
hamārī guftugū hai sirf ham se
bahut hai muḳhtasar ḳharcha hamārā
har ek mahfil mein hai charcha hamara
ajab hai dard ka qissa hamara
zara sa KHud ko main ne chup kiya to
bahut achchha nibha rishta hamara
bhala manzil kahan se chain degi
kahin bhi dil nahin lagta hamara
isi Dar se kamaya har tarah se
koi na puchh le rutba hamara
purana ho chuka majnun ka qissa
so ab sahra pe hai qabza hamara
hamari guftugu hai sirf hum se
bahut hai muKHtasar KHarcha hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.