har ek manzar badalta ja raha hai
har ik manzar badaltā jā rahā hai
ye lamha bhī guzartā jā rahā hai
tirā ehsās ik muddat se merī
rag-o-pai meñ utartā jā rahā hai
shikāyat zindagī se karte karte
vo ik ik lamha martā jā rahā hai
paḌā hai jab se terā aks is meñ
ye ā.īna sañvartā jā rahā hai
varaq yādoñ ke kis ne khol Daale
mirā kamra mahaktā jā rahā hai
ye duniyā to simaTtī jā rahī hai
magar insāñ bikhartā jā rahā hai
har ek manzar badalta ja raha hai
ye lamha bhi guzarta ja raha hai
tera ehsas ek muddat se meri
rag-o-pai mein utarta ja raha hai
shikayat zindagi se karte karte
wo ek ek lamha marta ja raha hai
paDa hai jab se tera aks is mein
ye aaina sanwarta ja raha hai
waraq yaadon ke kis ne khol Dale
mera kamra mahakta ja raha hai
ye duniya to simaTti ja rahi hai
magar insan bikharta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.