har ek manzar wahin Thahra lagega
har ik manzar vahīñ Thahrā lagegā
kabhī dariyā kabhī sahrā lagegā
havā.eñ le uḌegī ḳhushbūoñ ko
tire dāman meñ bas kāñTā lagegā
kitābeñ pheñk do dariyā meñ saarī
paḌhoge ḳhud ko to achchhā lagegā
vo phir ek baar ham pe mehrbāñ hai
koī ek zaḳhm phir gahrā lagegā
abhī rūThā huā hai chāñd ham se
haTegā abr to chehra lagegā
har ek manzar wahin Thahra lagega
kabhi dariya kabhi sahra lagega
hawaen le uDegi KHushbuon ko
tere daman mein bas kanTa lagega
kitaben phenk do dariya mein sari
paDhoge KHud ko to achchha lagega
wo phir ek bar hum pe mehrban hai
koi ek zaKHm phir gahra lagega
abhi ruTha hua hai chand hum se
haTega abr to chehra lagega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.