har ek musafir ki aastha ko bacha liya hai
har ik musāfir kī āsthā ko bachā liyā hai
ḳhudā ne tūfāñ se nāḳhudā ko bachā liyā hai
tire akaḌte hī jhuk ke milne se ruk gayā maiñ
tirī anā ne mirī anā ko bachā liyā hai
mire pukāre binā hī tū ne palaT ke jānāñ
jo dil se niklī thī us sadā ko bachā liyā hai
palak jhapakte hī us bichārī kā qatl hotā
nazar jamā kar tirī adā ko bachā liyā hai
ġhazal ne muddat ke baad utar kar 'nabīl' terī
banī huī thī jo us havā ko bachā liyā hai
har ek musafir ki aastha ko bacha liya hai
KHuda ne tufan se naKHuda ko bacha liya hai
tere akaDte hi jhuk ke milne se ruk gaya main
teri ana ne meri ana ko bacha liya hai
mere pukare bina hi tu ne palaT ke jaanan
jo dil se nikli thi us sada ko bacha liya hai
palak jhapakte hi us bichaari ka qatl hota
nazar jama kar teri ada ko bacha liya hai
ghazal ne muddat ke baad utar kar 'nabil' teri
bani hui thi jo us hawa ko bacha liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.