har ek nazar ko teri or pher rakkha hai
har ik nazar ko tirī or pher rakkhā hai
tirī hañsī ne sabhī kuchh bikher rakkhā hai
maiñ terī yaad dilātā huuñ is tarah ḳhud ko
kī dil ko terī hī yādoñ se sair rakkhā hai
hamāre naam kabhī tum ne bhī likhe hoñge
kaho kahāñ pe ḳhatoñ kā vo Dher rakkhā hai
kahā gayā thā ki ghar jaao achchhe logoñ se
so maiñ ne ḳhud ko ḳhudī se hī gher rakkhā hai
jise kamāne meñ ārām chāhte haiñ sabhī
vo taḳht-o-tāj to mehnat ke zer rakkhā hai
har ek nazar ko teri or pher rakkha hai
teri hansi ne sabhi kuchh bikher rakkha hai
main teri yaad dilata hun is tarah KHud ko
ki dil ko teri hi yaadon se sair rakkha hai
hamare nam kabhi tum ne bhi likhe honge
kaho kahan pe KHaton ka wo Dher rakkha hai
kaha gaya tha ki ghar jao achchhe logon se
so main ne KHud ko KHudi se hi gher rakkha hai
jise kamane mein aaram chahte hain sabhi
wo taKHt-o-taj to mehnat ke zer rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.