har ek rawish pe tera naqsh-e-pa nazar aae
har ik ravish pe tirā naqsh-e-pā nazar aa.e
chalūñ maiñ kaise na jab rāsta nazar aa.e
hai jaise jurm kā ehsās yā haqīqat hai
har ek shaḳhs mujhe dekhtā nazar aa.e
kise ḳhabar ki farebī hai kaun muḳhlis kaun
jise bhī dekho vo yuuñ to bhalā nazar aa.e
maiñ rāh-e-zīst pe huuñ muntazir khaḌī kab se
kabhī to koī sukūñ bechtā nazar aa.e
'humairā' zaat ke is ḳhol se zarā niklo
to dekho chehra har ik ġham-zada nazar aa.e
har ek rawish pe tera naqsh-e-pa nazar aae
chalun main kaise na jab rasta nazar aae
hai jaise jurm ka ehsas ya haqiqat hai
har ek shaKHs mujhe dekhta nazar aae
kise KHabar ki farebi hai kaun muKHlis kaun
jise bhi dekho wo yun to bhala nazar aae
main rah-e-zist pe hun muntazir khaDi kab se
kabhi to koi sukun bechta nazar aae
'humaira' zat ke is KHol se zara niklo
to dekho chehra har ek gham-zada nazar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.