har ek sada mein yahan dusri sada hai koi
har ik sadā meñ yahāñ dūsrī sadā hai koī
har ek lamha yahī Dar bichhaḌ rahā hai koī
surāġh pā na sakā Dagmagāte qadmoñ kā
hamāre pīchhe bahut duur tak gayā hai koī
navāh-e-jāñ meñ ajab chāñdnī chamaktī hai
ki jaise ruuh ke andar utar gayā hai koī
hamārī aañkh ujāloñ se muuñd kar shāyad
hamāre zaḳhm añdheroñ se bhar gayā hai koī
sajā lo is ko yahāñ tāq-e-har-samā.at meñ
phir is ke baad bahut duur kī sadā hai koī
dayār-e-jism meñ bas ek ġham kā chehrā hai
fazā udaas hai jaise ki mar gayā hai koī
har ek sada mein yahan dusri sada hai koi
har ek lamha yahi Dar bichhaD raha hai koi
suragh pa na saka Dagmagate qadmon ka
hamare pichhe bahut dur tak gaya hai koi
nawah-e-jaan mein ajab chandni chamakti hai
ki jaise ruh ke andar utar gaya hai koi
hamari aankh ujalon se mund kar shayad
hamare zaKHm andheron se bhar gaya hai koi
saja lo is ko yahan taq-e-har-samaat mein
phir is ke baad bahut dur ki sada hai koi
dayar-e-jism mein bas ek gham ka chehra hai
faza udas hai jaise ki mar gaya hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.