har ek shajar ka badan be-libas kar degi
har ik shajar kā badan be-libās kar degī
havā chalegī to manzar udaas kar degī
ye zard titlī jo phūloñ ke intizār meñ hai
kalī khilegī to ḳhushbū udaas kar degī
jab āsmāñ se farishte zamīñ pe ā.eñge
sunahrī dhuup unheñ bad-havās kar degī
barahna machhliyāñ taḌpeñgī garm sāhil par
kiran-kiran unheñ sūraj-shanās kar degī
jab āftāb samundar meñ Duub jā.egā
ye surḳh chāñdnī ḳhālī gilās kar degī
har ek shajar ka badan be-libas kar degi
hawa chalegi to manzar udas kar degi
ye zard titli jo phulon ke intizar mein hai
kali khilegi to KHushbu udas kar degi
jab aasman se farishte zamin pe aaenge
sunahri dhup unhen bad-hawas kar degi
barahna machhliyan taDpengi garm sahil par
kiran-kiran unhen suraj-shanas kar degi
jab aaftab samundar mein Dub jaega
ye surKH chandni KHali gilas kar degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.