har ek sitam ko miTa do nai sadi ke liye
har ik sitam ko miTā do na.ī sadī ke liye
diloñ meñ pyaar jagā do na.ī sadī ke liye
jo gahre zaḳhm diye bīsvīñ sadī ne hameñ
vo saare zaḳhm bhulā do na.ī sadī ke liye
lagā chuke jise arbāb-e-iqtidār-o-havas
uTho vo aag bujhā do na.ī sadī ke liye
lahū ke daaġh bhī miT jā.eñge ḳhizāñ kī tarah
zamīñ ko sabz banā do na.ī sadī ke liye
rivāyatoñ ke añdhere bahut haiñ duniyā meñ
na.e charāġh jalā do na.ī sadī ke liye
fazā meñ ḳhuun na uchhle kisī kā ghar na jale
nizām aisā banā do na.ī sadī ke liye
jihād-e-'ilm-o-hunar ke diye karo raushan
har ek ghar ko sajā do na.ī sadī ke liye
yahī hai rāz-e-taraqqī ki apne bachchoñ kā
nayā mizāj banā do na.ī sadī ke liye
jo zehn-o-dil ke añdhere miTā sake 'razmī'
ġhazal ik aisī sunā do na.ī sadī ke liye
har ek sitam ko miTa do nai sadi ke liye
dilon mein pyar jaga do nai sadi ke liye
jo gahre zaKHm diye biswin sadi ne hamein
wo sare zaKHm bhula do nai sadi ke liye
laga chuke jise arbab-e-iqtidar-o-hawas
uTho wo aag bujha do nai sadi ke liye
lahu ke dagh bhi miT jaenge KHizan ki tarah
zamin ko sabz bana do nai sadi ke liye
riwayaton ke andhere bahut hain duniya mein
nae charagh jala do nai sadi ke liye
faza mein KHun na uchhle kisi ka ghar na jale
nizam aisa bana do nai sadi ke liye
jihad-e-'ilm-o-hunar ke diye karo raushan
har ek ghar ko saja do nai sadi ke liye
yahi hai raaz-e-taraqqi ki apne bachchon ka
naya mizaj bana do nai sadi ke liye
jo zehn-o-dil ke andhere miTa sake 'razmi'
ghazal ek aisi suna do nai sadi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.