har ek su musallat hain gham ke dhundalke
har ik sū musallat haiñ ġham ke dhuñdalke
to phir kyoñ na rah jaa.eñ aañsū nikal ke
ham ā.īna-e-dahr meñ dekhte haiñ
vo rañgīñ zamāna ye ḳhūnīñ tahalke
kisī kī jafā.eñ are tauba tauba
lage dil pe nashtar magar halke halke
mohabbat kī manzil bahut pur-ḳhatar hai
uThānā qadam is jagah tū sañbhal ke
ḳhudā kī qasam haiñ bahut pur-ma.ānī
ye ash.ār 'hasrat' tumhārī ġhazal ke
har ek su musallat hain gham ke dhundalke
to phir kyon na rah jaen aansu nikal ke
hum aaina-e-dahr mein dekhte hain
wo rangin zamana ye KHunin tahalke
kisi ki jafaen are tauba tauba
lage dil pe nashtar magar halke halke
mohabbat ki manzil bahut pur-KHatar hai
uThana qadam is jagah tu sanbhal ke
KHuda ki qasam hain bahut pur-maani
ye ashaar 'hasrat' tumhaari ghazal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.