har ek tamanna ko ro chuke hain
har ik tamanna ko ro chuke haiñ
ham apnī āvāz kho chuke haiñ
surāġh apnā mile kahāñ se
tumhārī duniyā ke ho chuke haiñ
bas ik asāsa thī gard-e-vahshat
so haath isse bhī dho chuke haiñ
ye ḳhil’at-e-ġham nayā kahāñ hai
ye bojh pahle bhī Dho chuke haiñ
shabān-e-hijrāñ ke nūr-zāde
kisī kī zulfoñ meñ kho chuke haiñ
har ek tamanna ko ro chuke hain
hum apni aawaz kho chuke hain
suragh apna mile kahan se
tumhaari duniya ke ho chuke hain
bas ek asasa thi gard-e-wahshat
so hath isse bhi dho chuke hain
ye KHil’at-e-gham naya kahan hai
ye bojh pahle bhi Dho chuke hain
shaban-e-hijran ke nur-zade
kisi ki zulfon mein kho chuke hain
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 82)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.