har ek uThan ke lakhon hain imtihan miyan
har ik uThān ke lākhoñ haiñ imtihān miyāñ
pukārtā hai parindoñ ko āsmān miyāñ
nikalnā paḌtā hai āḳhir ko apne andar se
vahāñ bhī miltī nahīñ mustaqil amaan miyāñ
hai kārḳhāna tavahhum kā ye ba-qaul-e-'mīr'
so jānte haiñ yaqīñ ko bhī ham gumān miyāñ
thā is se pahle bhī koī makīn-e-dil apnā
aur is ke baad bhī ḳhālī nahīñ makān miyāñ
ye aur baat ki jismoñ ke bhī taqāze the
ham us kī jaan the aur vo hamārī jaan miyāñ
haiñ go ki ham bhī tire ḳhair-ḳhvāh par 'shākir'
ye kab kahā ki hamārī hī baat maan miyāñ
har ek uThan ke lakhon hain imtihan miyan
pukarta hai parindon ko aasman miyan
nikalna paDta hai aaKHir ko apne andar se
wahan bhi milti nahin mustaqil aman miyan
hai karKHana tawahhum ka ye ba-qaul-e-'mir'
so jaante hain yaqin ko bhi hum guman miyan
tha is se pahle bhi koi makin-e-dil apna
aur is ke baad bhi KHali nahin makan miyan
ye aur baat ki jismon ke bhi taqaze the
hum us ki jaan the aur wo hamari jaan miyan
hain go ki hum bhi tere KHair-KHwah par 'shakir'
ye kab kaha ki hamari hi baat man miyan
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 613)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.