har ek zaban pe jari hai nam pahle se
har ik zabān pe jaarī hai naam pahle se
abhī tum aa.e nahīñ aur maqām pahle se
isī liye to use vaar karne denā hai
ki le chukā huuñ koī intiqām pahle se
abhī to Thiik se Dhalte nahīñ haiñ saa.e bhī
manā.ī jā chukī hotī hai shaam pahle se
pahuñch rahe haiñ jahāñ shāhzāde us ke liye
khaḌā huā hai vahāñ ik ġhulām pahle se
maiñ she'r kahte hue ehtiyāt kartā huuñ
kahīñ kiyā na gayā ho ye kaam pahle se
husain baa'd meñ pahuñche miyān-e-karb-o-balā
likhā huā thā ḳhudā ne salām pahle se
har ek zaban pe jari hai nam pahle se
abhi tum aae nahin aur maqam pahle se
isi liye to use war karne dena hai
ki le chuka hun koi intiqam pahle se
abhi to Thik se Dhalte nahin hain sae bhi
manai ja chuki hoti hai sham pahle se
pahunch rahe hain jahan shahzade us ke liye
khaDa hua hai wahan ek ghulam pahle se
main she'r kahte hue ehtiyat karta hun
kahin kiya na gaya ho ye kaam pahle se
husain ba'd mein pahunche miyan-e-karb-o-bala
likha hua tha KHuda ne salam pahle se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.