har jaan ko yahan KHatir-e-manzil-ba-safar hai
har jaan ko yahan KHatir-e-manzil-ba-safar hai
Syed Rushaid Ali Jaffery
MORE BYSyed Rushaid Ali Jaffery
har jaañ ko yahāñ ḳhātir-e-manzil-ba-safar hai
maqsūd-e-jahāñ kāmil-e-ashyā-e-hunar hai
ḳhākistar-e-anvār lahū ban ke tajallī
āzā-e-bashar meñ koī dam-sāz asar hai
āshufta-sarī rahbar-e-kashshāf-e-maqāsid
tund-rau-e-zamāna meñ bhī kotāh-nazar hai
is shorish-e-duniyā meñ jo dekho to mayassar
tā-hadd-e-nazar hech nishānāt-e-sahar hai
kyoñ hoñ na pareshāñ ki yahāñ sāhib-o-mālik
go haiñ ba-lab-e-marg nazar sū-e-guhar hai
duniyā ke pas-o-pesh ko samjhoge kahāñ tak
khul jaa.e girāh gar to yahāñ aur ḳhatar hai
har jaan ko yahan KHatir-e-manzil-ba-safar hai
maqsud-e-jahan kaamil-e-ashya-e-hunar hai
KHakistar-e-anwar lahu ban ke tajalli
aaza-e-bashar mein koi dam-saz asar hai
aashufta-sari rahbar-e-kashshaf-e-maqasid
tund-rau-e-zamana mein bhi kotah-nazar hai
is shorish-e-duniya mein jo dekho to mayassar
ta-hadd-e-nazar hech nishanat-e-sahar hai
kyon hon na pareshan ki yahan sahib-o-malik
go hain ba-lab-e-marg nazar su-e-guhar hai
duniya ke pas-o-pesh ko samjhoge kahan tak
khul jae girah gar to yahan aur KHatar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.