har jafa chhoTi lagi sare sitam chhoTe lage
har jafā chhoTī lagī saare sitam chhoTe lage
apnā ġham itnā baḌā thā sab ke ġham chhoTe lage
pyaas kī shiddat meñ dariyā ko bhī shabnam kah ga.e
dāman-e-dil tang thā dast-e-karam chhoTe lage
bazm ke shīshoñ kā saarā husn ġhārat ho gayā
aañkh saaqī se milī aur jām-e-jam chhoTe lage
vo sarāpā mere lafzoñ meñ samātā hī nahīñ
us ko maiñ kaise likhūñ lauh-o-qalam chhoTe lage
jis kī had koī na ho aa.e bhī kaise zehn meñ
vo jo be-parda huā dair-o-haram chhoTe lage
ek bachche kā humaknā chāñd chhūne ke liye
ūñchā qad rakhte hue bhī aaj ham chhoTe lage
apnī miTTī kā kuchh aisā qarz thā mujh par 'ra.īs'
zindagī bhar zindagī ke pech-o-ḳham chhoTe lage
har jafa chhoTi lagi sare sitam chhoTe lage
apna gham itna baDa tha sab ke gham chhoTe lage
pyas ki shiddat mein dariya ko bhi shabnam kah gae
daman-e-dil tang tha dast-e-karam chhoTe lage
bazm ke shishon ka sara husn ghaarat ho gaya
aankh saqi se mili aur jam-e-jam chhoTe lage
wo sarapa mere lafzon mein samata hi nahin
us ko main kaise likhun lauh-o-qalam chhoTe lage
jis ki had koi na ho aae bhi kaise zehn mein
wo jo be-parda hua dair-o-haram chhoTe lage
ek bachche ka humakna chand chhune ke liye
uncha qad rakhte hue bhi aaj hum chhoTe lage
apni miTTi ka kuchh aisa qarz tha mujh par 'rais'
zindagi bhar zindagi ke pech-o-KHam chhoTe lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.