har jagah bas yahi to hota hai
har jagah bas yahī to hotā hai
aadmī aadmī ko rotā hai
kyā zarūrī hai yaad hī aa.e
dil hai ye be-sabab bhī rotā hai
yaad aañsū na ban sake jis din
shaam par kitnā bojh hotā hai
ye mizājoñ kā khel hai saarā
ek hañstā hai ek rotā hai
haath uTh jaa.eñ bas duā ke liye
kuchh na kuchh to zarūrī hotā hai
sab mafādāt ke karishme haiñ
kaun kis ke qarīb hotā hai
har jagah bas yahi to hota hai
aadmi aadmi ko rota hai
kya zaruri hai yaad hi aae
dil hai ye be-sabab bhi rota hai
yaad aansu na ban sake jis din
sham par kitna bojh hota hai
ye mizajon ka khel hai sara
ek hansta hai ek rota hai
hath uTh jaen bas dua ke liye
kuchh na kuchh to zaruri hota hai
sab mafadat ke karishme hain
kaun kis ke qarib hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.