har jagah KHud ko DhunDhta hun main
har jagah ḳhud ko DhūñDhtā huuñ maiñ
ek muddat se lāpata huuñ maiñ
tū kabhī soch bhī nahīñ saktā
kis qadar tujh ko sochtā huuñ maiñ
ḳhvāb aatā hai jab bhī jiine kā
apnī āñkhoñ ko chūmtā huuñ maiñ
baiTh jaatā hai dil raqīboñ kā
jab tire saath baiThtā huuñ maiñ
tū musallat hai soch par merī
tere lahje meñ boltā huuñ maiñ
terā chehra dikhā.ī detā hai
jab bhī ā.īna dekhtā huuñ maiñ
jang kaisī anā se hai 'kāshif'
jīt.tā huuñ na hārtā huuñ maiñ
har jagah KHud ko DhunDhta hun main
ek muddat se lapata hun main
tu kabhi soch bhi nahin sakta
kis qadar tujh ko sochta hun main
KHwab aata hai jab bhi jine ka
apni aankhon ko chumta hun main
baiTh jata hai dil raqibon ka
jab tere sath baiThta hun main
tu musallat hai soch par meri
tere lahje mein bolta hun main
tera chehra dikhai deta hai
jab bhi aaina dekhta hun main
jang kaisi ana se hai 'kashif'
jitta hun na haarta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.