har jagah teri wakalat bhi kahan tak karte
har jagah terī vakālat bhī kahāñ tak karte
sab se laḌne kī jasārat bhī kahāñ tak karte
ik tajallī ne uḌā Daale sabhī hosh-o-havās
tuur kī aap ziyārat bhī kahāñ tak karte
nafrateñ bo ke mohabbat kā samar DhūñDte haiñ
is tarah ulTī zarā’at bhī kahāñ tak karte
shiddat-e-karb se āñkhoñ meñ na Thahre aañsū
ham tire ġham kī hifāzat bhī kahāñ tak karte
apne bigḌe hue hālāt se jo laḌte haiñ
mujh pe vo chashm-e-'ināyat bhī kahāñ tak karte
ab vo mausam na rahā 'ishq-o-mohabbat kā sanam
ham tire saath sharārat bhī kahāñ tak karte
is qadar log masā.il meñ ghire haiñ 'nāzir'
ham ko āsūda-e-rāhat bhī kahāñ tak karte
har jagah teri wakalat bhi kahan tak karte
sab se laDne ki jasarat bhi kahan tak karte
ek tajalli ne uDa Dale sabhi hosh-o-hawas
tur ki aap ziyarat bhi kahan tak karte
nafraten bo ke mohabbat ka samar DhunDte hain
is tarah ulTi zara’at bhi kahan tak karte
shiddat-e-karb se aankhon mein na Thahre aansu
hum tere gham ki hifazat bhi kahan tak karte
apne bigDe hue haalat se jo laDte hain
mujh pe wo chashm-e-'inayat bhi kahan tak karte
ab wo mausam na raha 'ishq-o-mohabbat ka sanam
hum tere sath shararat bhi kahan tak karte
is qadar log masail mein ghire hain 'nazir'
hum ko aasuda-e-rahat bhi kahan tak karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.