har jawan chehre ko dilkashi nahin milti
har javān chehre ko dilkashī nahīñ miltī
sab ko umr miltī hai zindagī nahīñ miltī
bā-kamāl banñe tak Thokareñ zarūrī haiñ
jis kā naam shohrat hai muft kī nahīñ miltī
tīrgī ke aalam meñ dil jalā.e jaate haiñ
rah ke charāġhoñ se raushnī nahīñ miltī
ye batāo kaise ho ab nibāh kī sūrat
aap se mirī aadat ek bhī nahīñ miltī
log āj-kal 'tābāñ' sirf lab hilāte haiñ
dil jo gudgudā jaa.e vo hañsī nahīñ miltī
har jawan chehre ko dilkashi nahin milti
sab ko umr milti hai zindagi nahin milti
ba-kamal banne tak Thokaren zaruri hain
jis ka nam shohrat hai muft ki nahin milti
tirgi ke aalam mein dil jalae jate hain
rah ke charaghon se raushni nahin milti
ye batao kaise ho ab nibah ki surat
aap se meri aadat ek bhi nahin milti
log aaj-kal 'taban' sirf lab hilate hain
dil jo gudguda jae wo hansi nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.