har kali KHun mein nahai hai
har kalī ḳhuun meñ nahā.ī hai
kaise samjhūñ bahār aa.ī hai
bāl-o-par ho chuke haiñ nazr-e-qafas
ye rihā.ī koī rihā.ī hai
tere ġham ko lagā ke siine se
merī taqdīr muskurā.ī hai
bazm raushan hai aap ke dam se
aap ne sham.a kyoñ jalā.ī hai
terī halkī sī muskurāhaT se
mahfil-e-zīst jagmagā.ī hai
kyā batā.eñge tere dīvāne
kyā burā.ī hai kyā bhalā.ī hai
jab bhī uTThā naqāb-e-husn 'zamīr'
mahfil-e-ishq jagmagā.ī hai
aaj tū ne 'zamīr'-e-ḳhud-āgāh
kitnī achchhī ġhazal sunā.ī hai
har kali KHun mein nahai hai
kaise samjhun bahaar aai hai
baal-o-par ho chuke hain nazr-e-qafas
ye rihai koi rihai hai
tere gham ko laga ke sine se
meri taqdir muskurai hai
bazm raushan hai aap ke dam se
aap ne shama kyon jalai hai
teri halki si muskurahaT se
mahfil-e-zist jagmagai hai
kya bataenge tere diwane
kya burai hai kya bhalai hai
jab bhi uTTha naqab-e-husn 'zamir'
mahfil-e-ishq jagmagai hai
aaj tu ne 'zamir'-e-KHud-agah
kitni achchhi ghazal sunai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.