har KHushi hisse se mere jaise ruKHsat ho gai
har ḳhushī hisse se mere jaise ruḳhsat ho ga.ī
mustaqil sahnā ġhamoñ ko merī aadat ho ga.ī
chāñd tāroñ kī ziyā bhī kam nazar aane lagī
aap ke chehre kī jab mujh ko ziyārat ho ga.ī
ab patangoñ kī tarah se niiñd merī ban ga.ī
mujh ko jab se shā.erī karne kī aadat ho ga.ī
jo muāfiq thā mirā vo nā-muvāfiq ban gayā
kyā zamāne meñ zarā sī merī shohrat ho ga.ī
har koī us ko nigāh-e-qadr se dekhe yahāñ
paas jis ke thoḌī daulat aur shohrat ho ga.ī
titliyoñ ko phuul kī jitnī tamanna hai 'hirā'
us se bhī baḌh kar mujhe terī zarūrat ho ga.ī
har KHushi hisse se mere jaise ruKHsat ho gai
mustaqil sahna ghamon ko meri aadat ho gai
chand taron ki ziya bhi kam nazar aane lagi
aap ke chehre ki jab mujh ko ziyarat ho gai
ab patangon ki tarah se nind meri ban gai
mujh ko jab se shaeri karne ki aadat ho gai
jo muafiq tha mera wo na-muwafiq ban gaya
kya zamane mein zara si meri shohrat ho gai
har koi us ko nigah-e-qadr se dekhe yahan
pas jis ke thoDi daulat aur shohrat ho gai
titliyon ko phul ki jitni tamanna hai 'hira'
us se bhi baDh kar mujhe teri zarurat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.