har KHushi maqbaron pe likh di hai
har ḳhushī maqbaroñ pe likh dī hai
aur udāsī gharoñ pe likh dī hai
ek aayat sī dast-e-qudrat ne
titliyoñ ke paroñ pe likh dī hai
jāliyoñ ko tarāsh kar kis ne
har duā pattharoñ pe likh dī hai
log yuuñ sar chhupā.e phirte haiñ
jaise qīmat saroñ pe likh dī hai
har varaq par haiñ kitne rañg 'qamar'
har ġhazal manzaroñ pe likh dī hai
har KHushi maqbaron pe likh di hai
aur udasi gharon pe likh di hai
ek aayat si dast-e-qudrat ne
titliyon ke paron pe likh di hai
jaliyon ko tarash kar kis ne
har dua pattharon pe likh di hai
log yun sar chhupae phirte hain
jaise qimat saron pe likh di hai
har waraq par hain kitne rang 'qamar'
har ghazal manzaron pe likh di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.