har KHushi mujhse gurezan hai KHafa ho jaise
har ḳhushī mujh se gurezāñ hai ḳhafā ho jaise
us ne pahchān ke muñh pher liyā ho jaise
kuchh nigāhoñ ne kiyā merā ta'āqub yuuñ bhī
us ke kūche se guzarnā bhī ḳhatā ho jaise
us se ruḳhsat jo huā maiñ to ye mahsūs huā
duur tak vo bhī mire saath chalā ho jaise
toḌtā hai koī paimāñ to ye lagtā hai mujhe
aadmī apnī bulandī se girā ho jaise
hichkiyāñ aa.eñ to rah rah ke ye hotā hai gumāñ
mere haq meñ koī masrūf-e-du’ā ho jaise
hai ye 'ālam tirī yādeñ tujhe vāpas kar ke
hāfize meñ mire kuchh bhī na bachā ho jaise
un ke hote to na thī aisī udāsī 'afzal'
ziist ik nauha-e-be-harf-o-sadā ho jaise
har KHushi mujh se gurezan hai KHafa ho jaise
us ne pahchan ke munh pher liya ho jaise
kuchh nigahon ne kiya mera ta'aqub yun bhi
us ke kuche se guzarna bhi KHata ho jaise
us se ruKHsat jo hua main to ye mahsus hua
dur tak wo bhi mere sath chala ho jaise
toDta hai koi paiman to ye lagta hai mujhe
aadmi apni bulandi se gira ho jaise
hichkiyan aaen to rah rah ke ye hota hai guman
mere haq mein koi masruf-e-du’a ho jaise
hai ye 'alam teri yaaden tujhe wapas kar ke
hafize mein mere kuchh bhi na bacha ho jaise
un ke hote to na thi aisi udasi 'afzal'
zist ek nauha-e-be-harf-o-sada ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.