har KHushi tere liye har na-KHushi tere liye
har KHushi tere liye har na-KHushi tere liye
Sultan Shakir Hashmi
MORE BYSultan Shakir Hashmi
har ḳhushī tere liye har nā-ḳhushī tere liye
ab to ham ne vaqf kar dī zindagī tere liye
ashk āñkhoñ meñ haiñ dil meñ bekalī tere liye
zindagī se duur haiñ ab zindagī tere liye
dard-e-dil marg-e-tamannā hashr-e-ġham soz-e-firāq
ham ne har aafat se kī hai dostī tere liye
allah allah ehtimām-e-jazba-e-zauq-e-niyāz
rok lī hai jaise ġhunchoñ ne hañsī tere liye
ab kisī se ham ġham-e-dil kī shikāyat kyā kareñ
ham ne jab ġham par luTā dī har ḳhushī tere liye
tū ne raushan kar diye bujhtī umīdoñ ke charāġh
ruuh āñkhoñ meñ palaT kar aa ga.ī tere liye
kal tire dam se añdherā bhī thā faḳhr-e-kā.enāt
aaj jaise ro rahī hai raushnī tere liye
ai ġham-e-dil tujh se thak kar māñgte haiñ sab ajal
maiñ ajal se māñgtā huuñ zindagī tere liye
vā.e-qismat aaj tū ne bhī use Thukrā diyā
jis ne duniyā bhar se chhoḌī dostī tere liye
har KHushi tere liye har na-KHushi tere liye
ab to hum ne waqf kar di zindagi tere liye
ashk aankhon mein hain dil mein bekali tere liye
zindagi se dur hain ab zindagi tere liye
dard-e-dil marg-e-tamanna hashr-e-gham soz-e-firaq
hum ne har aafat se ki hai dosti tere liye
allah allah ehtimam-e-jazba-e-zauq-e-niyaz
rok li hai jaise ghunchon ne hansi tere liye
ab kisi se hum gham-e-dil ki shikayat kya karen
hum ne jab gham par luTa di har KHushi tere liye
tu ne raushan kar diye bujhti umidon ke charagh
ruh aankhon mein palaT kar aa gai tere liye
kal tere dam se andhera bhi tha faKHr-e-kaenat
aaj jaise ro rahi hai raushni tere liye
ai gham-e-dil tujh se thak kar mangte hain sab ajal
main ajal se mangta hun zindagi tere liye
wae-qismat aaj tu ne bhi use Thukra diya
jis ne duniya bhar se chhoDi dosti tere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.