har KHwab yaad rakhne ka paida sabab karen
har ḳhvāb yaad rakhne kā paidā sabab kareñ
jo aaj tak na kar sake vo kaam ab kareñ
hone lagā yahāñ pe balāoñ kā phir nuzūl
ab kuchh na kar sakeñge chalo zikr-e-rab kareñ
jugnū-misāl ḳhud ko jalā.eñge raat bhar
mā'mūr is tarīqe se vo tīra-shab kareñ
ham ne to us kā saath nibhāyā hai der tak
ab us se duur jaane kā kār-e-ajab kareñ
sab jiit par manāte haiñ aksar yahāñ pe jashn
ham kyoñ bapā na haar pe jashn-e-tarab kareñ
āsūda jism-o-jāñ hoñ kabhī shahr-e-sang meñ
vā is umiid par na yahāñ chashm-o-lab kareñ
lahroñ ke saath aane lagī ret pai-ba-pai
kab tak darāz ham yūñhī dast-e-talab kareñ
dhuñdlā gayā hai izz-o-sharaf kā har ek naqsh
ab kis umiid par yahāñ fikr-e-nasab kareñ
har KHwab yaad rakhne ka paida sabab karen
jo aaj tak na kar sake wo kaam ab karen
hone laga yahan pe balaon ka phir nuzul
ab kuchh na kar sakenge chalo zikr-e-rab karen
jugnu-misal KHud ko jalaenge raat bhar
ma'mur is tariqe se wo tira-shab karen
hum ne to us ka sath nibhaya hai der tak
ab us se dur jaane ka kar-e-ajab karen
sab jit par manate hain aksar yahan pe jashn
hum kyon bapa na haar pe jashn-e-tarab karen
aasuda jism-o-jaan hon kabhi shahr-e-sang mein
wa is umid par na yahan chashm-o-lab karen
lahron ke sath aane lagi ret pai-ba-pai
kab tak daraaz hum yunhi dast-e-talab karen
dhundla gaya hai izz-o-sharaf ka har ek naqsh
ab kis umid par yahan fikr-e-nasab karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.