har kisi dar pe kahan sajda rawa rakhte hain
har kisī dar pe kahāñ sajda ravā rakhte haiñ
ham muvahhid haiñ faqat ek ḳhudā rakhte haiñ
vo kaḌī dhuup meñ rahmat kī ghaTā rakhte haiñ
sar pe maañ baap kī jo log duā rakhte haiñ
daaġh dāman pe nahīñ naqsh-e-vafā rakhte haiñ
ham muhibbān-e-vatan ujlī qabā rakhte haiñ
zaḳhm jo tū ne diyā dil meñ sajā rakhte haiñ
lazzat-e-karb ke nāḳhun se harā rakhte haiñ
tum to phir apne ho apnoñ se adāvat kaisī
ham to dushman pe bhī darvāza khulā rakhte haiñ
jagmagā uThtā hai tārīk muqaddar un kā
ḳhuun apnā jo charāġhoñ meñ bharā rakhte haiñ
har kisi dar pe kahan sajda rawa rakhte hain
hum muwahhid hain faqat ek KHuda rakhte hain
wo kaDi dhup mein rahmat ki ghaTa rakhte hain
sar pe man bap ki jo log dua rakhte hain
dagh daman pe nahin naqsh-e-wafa rakhte hain
hum muhibban-e-watan ujli qaba rakhte hain
zaKHm jo tu ne diya dil mein saja rakhte hain
lazzat-e-karb ke naKHun se hara rakhte hain
tum to phir apne ho apnon se adawat kaisi
hum to dushman pe bhi darwaza khula rakhte hain
jagmaga uThta hai tarik muqaddar un ka
KHun apna jo charaghon mein bhara rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.