har kisi ke hai samajhne ki na samjhane ki baat
har kisī ke hai samajhne kī na samjhāne kī baat
ishq kyā hai jiite jī be-maut mar jaane kī baat
dāstān-e-qais ko samjhe the dīvāne kī baat
ik haqīqat ban ga.ī āḳhir ko afsāne kī baat
ruḳh ne kī zulfoñ kī aur zulfoñ ne kī shāne kī baat
aur ulajhtī hī chalī jaatī hai suljhāne kī baat
ye to hotā hai baḌe hī hausle vāloñ kā kaam
sahl kab hai āñkhoñ hī āñkhoñ meñ pī jaane kī baat
kar liiñ ḳhud lailā-vashoñ ne bastiyāñ apnī tabāh
yuuñ hī kah dī thī kahīñ majnūñ ne vīrāne kī baat
in butoñ ko dekh kar shān-e-ḳhudā yaad aa ga.ī
yuuñ haram tak jā ke pahuñchī hai sanam-ḳhāne kī baat
jaane kyā zālim ne chupke se ishāra kar diyā
raat bhar rotī hai sun kar sham.a parvāne kī baat
koī matlab hī kā fiqra haath aa jaatā tumheñ
aql vaalo ik zarā sun lete dīvāne kī baat
ham to kahte haiñ ki 'muslim' vazn rakhtī hai zarūr
qissa-e-dair-o-haram par ek maiḳhāne kī baat
har kisi ke hai samajhne ki na samjhane ki baat
ishq kya hai jite ji be-maut mar jaane ki baat
dastan-e-qais ko samjhe the diwane ki baat
ek haqiqat ban gai aaKHir ko afsane ki baat
ruKH ne ki zulfon ki aur zulfon ne ki shane ki baat
aur ulajhti hi chali jati hai suljhane ki baat
ye to hota hai baDe hi hausle walon ka kaam
sahl kab hai aankhon hi aankhon mein pi jaane ki baat
kar lin KHud laila-washon ne bastiyan apni tabah
yun hi kah di thi kahin majnun ne virane ki baat
in buton ko dekh kar shan-e-KHuda yaad aa gai
yun haram tak ja ke pahunchi hai sanam-KHane ki baat
jaane kya zalim ne chupke se ishaara kar diya
raat bhar roti hai sun kar shama parwane ki baat
koi matlab hi ka fiqra hath aa jata tumhein
aql walo ek zara sun lete diwane ki baat
hum to kahte hain ki 'muslim' wazn rakhti hai zarur
qissa-e-dair-o-haram par ek maiKHane ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.