har kisi ki hai zabani dosti
har kisī kī hai zabānī dostī
kyā kisī kī āzmānī dostī
the musāfir do alag rastoñ ke ham
ho ga.ī bas nā-gahānī dostī
DhūñDhtā hai har rifāqat meñ na.ī
dil hamesha ik purānī dostī
dafn hai siine meñ mere aaj bhī
us kī merī āñ-jahānī dostī
dostoñ ko dil dukhānā aa gayā
aa ga.ī ham ko nibhānī dostī
kuchh to terī bhī ḳhatā hogī 'faroġh'
gar huī hai sargirānī dostī
har kisi ki hai zabani dosti
kya kisi ki aazmani dosti
the musafir do alag raston ke hum
ho gai bas na-gahani dosti
DhunDhta hai har rifaqat mein nai
dil hamesha ek purani dosti
dafn hai sine mein mere aaj bhi
us ki meri aan-jahani dosti
doston ko dil dukhana aa gaya
aa gai hum ko nibhani dosti
kuchh to teri bhi KHata hogi 'farogh'
gar hui hai sargirani dosti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.