har kisi se to mohabbat nahin hoti mujhse
har kisī se to mohabbat nahīñ hotī mujh se
aur tabdīl ye 'ādat nahīñ hotī mujh se
apnī vahshat kā sabab ḳhuub samajhtā huuñ magar
koī pūchhe to vazāhat nahīñ hotī mujh se
ik faqat vo hai mirī saarī ḳharābī kā sabab
ik faqat us se shikāyat nahīñ hotī mujh se
mujh ko har gaam pe rahtī hai zarūrat apnī
aur puurī ye zarūrat nahīñ hotī mujh se
tīrgī thoḌī bahut phir bhī maiñ kar letā huuñ
raushnī to kisī sūrat nahīñ hotī mujh se
'umr-dar-'umr yuuñ be-rang huā jaatā huuñ
apne rangoñ kī hifāzat nahīñ hotī mujh se
har kisi se to mohabbat nahin hoti mujh se
aur tabdil ye 'adat nahin hoti mujh se
apni wahshat ka sabab KHub samajhta hun magar
koi puchhe to wazahat nahin hoti mujh se
ek faqat wo hai meri sari KHarabi ka sabab
ek faqat us se shikayat nahin hoti mujh se
mujh ko har gam pe rahti hai zarurat apni
aur puri ye zarurat nahin hoti mujh se
tirgi thoDi bahut phir bhi main kar leta hun
raushni to kisi surat nahin hoti mujh se
'umr-dar-'umr yun be-rang hua jata hun
apne rangon ki hifazat nahin hoti mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.