har koi Duba hua tha sazishon ki jhil mein
har koī Duubā huā thā sāzishoñ kī jhiil meñ
zehn kī kashtī thī apnī hairatoñ kī jhiil meñ
āsmāñ par uḌte uḌte lahr khā kar gir paḌā
aarzū kā ik parinda hādsoñ kī jhiil meñ
ab idhar aatī nahīñ haiñ ḳhvāhishoñ kī hirniyāñ
yaad kī daldal bahut hai uljhanoñ kī jhiil meñ
phir uchhāle kis ne āvāzoñ ke kankar arsh par
jab mukammal ḳhāmushī thī sā.atoñ kī jhiil meñ
azmatoñ kī kuchh sunahrī machhliyāñ paidā huiiñ
raushnī ke ujle ujle tazkaroñ kī jhiil meñ
yās-o-hasrat kā sahīfa hai hamārī zindagī
ham nahāte haiñ muqaddas āyatoñ kī jhiil meñ
vādī-e-hasrat meñ 'jāmī' hādisa aisā huā
karb kā tūfān uTThā qahqahoñ kī jhiil meñ
har koi Duba hua tha sazishon ki jhil mein
zehn ki kashti thi apni hairaton ki jhil mein
aasman par uDte uDte lahr kha kar gir paDa
aarzu ka ek parinda hadson ki jhil mein
ab idhar aati nahin hain KHwahishon ki hirniyan
yaad ki daldal bahut hai uljhanon ki jhil mein
phir uchhaale kis ne aawazon ke kankar arsh par
jab mukammal KHamushi thi saaton ki jhil mein
azmaton ki kuchh sunahri machhliyan paida huin
raushni ke ujle ujle tazkaron ki jhil mein
yas-o-hasrat ka sahifa hai hamari zindagi
hum nahate hain muqaddas aayaton ki jhil mein
wadi-e-hasrat mein 'jami' hadisa aisa hua
karb ka tufan uTTha qahqahon ki jhil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.