har koi saeban ke niche hai
har koī sā.ebān ke nīche hai
chāñd bhī āsmāñ ke nīche hai
yād-e-māzī hai ḳhaar kā jangal
aur dil-e-nā-tavāñ ke nīche hai
zalzale bin zamīn hiltī hai
kuchh to mere makāñ ke nīche hai
sham.a kī lau nazar nahīñ aatī
ik dhuāñ sā dhuāñ ke nīche hai
yā to dil par chaTān hai 'kishvar''
yā vo ātish-fishāñ ke nīche hai
har koi saeban ke niche hai
chand bhi aasman ke niche hai
yaad-e-mazi hai KHar ka jangal
aur dil-e-na-tawan ke niche hai
zalzale bin zamin hilti hai
kuchh to mere makan ke niche hai
shama ki lau nazar nahin aati
ek dhuan sa dhuan ke niche hai
ya to dil par chaTan hai 'kishwar
ya wo aatish-fishan ke niche hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.