har koi sar uTha ke chalta tha
har koī sar uThā ke chaltā thā
ghar kī lassī thī ghar kā aaTā thā
jaane kis baat par ḳhafā thā vo
aap jaltā thā aap bujhtā thā
us ke andar se boltā thā koī
jab kabhī mood meñ vo hotā thā
shāḳh se aam jis tarah Tapke
us tarah mujh pe jaan detā thā
oḌh lī shaal kyoñ ḳhamoshī kī
vo to ik guftugū kā dhārā thā
raat saarā makān Dol gayā
kyā havā.ī jahāz guzrā thā
kho gayā thā vo gahrī sochoñ meñ
dhuup ke ghar meñ kal añdherā thā
chhoḌ dete the rāsta dariyā
aadmī kā charāġh jaltā thā
ThanD thī ret ke makānoñ meñ
sārbānoñ se pyaar miltā thā
phuul khilte the reg-zāroñ meñ
zikr masjid meñ us kā hotā thā
koī sabze kī lahr thī shāyad
jis ne ārām se sulāyā thā
ab vahāñ uuñT bilbilāte haiñ
pahle murġhābiyoñ kā Derā thā
peḌ ugte the apnī marzī se
koī tahsīl thī na thāna thā
shahr vaale to pheñk aa.e the
us ko dariyā uThā.e phirtā thā
rang karvā diyā thā shīshoñ par
roz sūraj jo jhāñkā kartā thā
television navāztā hai ab
pahle aḳhbār par guzārā thā
jab palaTtā thā us ke ghar se 'ḳhalīl'
ek saaya sā saath hotā thā
har koi sar uTha ke chalta tha
ghar ki lassi thi ghar ka aaTa tha
jaane kis baat par KHafa tha wo
aap jalta tha aap bujhta tha
us ke andar se bolta tha koi
jab kabhi mood mein wo hota tha
shaKH se aam jis tarah Tapke
us tarah mujh pe jaan deta tha
oDh li shaal kyon KHamoshi ki
wo to ek guftugu ka dhaara tha
raat sara makan Dol gaya
kya hawai jahaz guzra tha
kho gaya tha wo gahri sochon mein
dhup ke ghar mein kal andhera tha
chhoD dete the rasta dariya
aadmi ka charagh jalta tha
ThanD thi ret ke makanon mein
sarbanon se pyar milta tha
phul khilte the reg-zaron mein
zikr masjid mein us ka hota tha
koi sabze ki lahr thi shayad
jis ne aaram se sulaya tha
ab wahan unT bilbilate hain
pahle murghabiyon ka Dera tha
peD ugte the apni marzi se
koi tahsil thi na thana tha
shahr wale to phenk aae the
us ko dariya uThae phirta tha
rang karwa diya tha shishon par
roz suraj jo jhanka karta tha
telewision nawazta hai ab
pahle aKHbar par guzara tha
jab palaTta tha us ke ghar se 'KHalil'
ek saya sa sath hota tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.