har koi us ka KHaridar hua chahta hai
har koī us kā ḳharīdār huā chāhtā hai
garm phir husn kā bāzār huā chāhtā hai
dekh lenā ġham-e-ma.ashūq meñ kuḌhte kuḌhte
kuchh na kuchh ab mujhe āzār huā chāhtā hai
aañkh lalchā.ī huī paḌtī hai jis par merī
ishq us par mirā iz.hār huā chāhtā hai
kah do us parda-nashīñ se tirī ḳhātir koī
aaj rusvā sar-e-bāzār huā chāhtā hai
paan khā khā ke lab-e-bām pe vo aane lagā
ḳhuuñ hamārā pas-e-dīvār huā chāhtā hai
kūcha-e-yār meñ jaatā hai abas tū 'ġhāfil'
kyuuñ musībat meñ giraftār huā chāhtā hai
har koi us ka KHaridar hua chahta hai
garm phir husn ka bazar hua chahta hai
dekh lena gham-e-mashuq mein kuDhte kuDhte
kuchh na kuchh ab mujhe aazar hua chahta hai
aankh lalchai hui paDti hai jis par meri
ishq us par mera izhaar hua chahta hai
kah do us parda-nashin se teri KHatir koi
aaj ruswa sar-e-bazar hua chahta hai
pan kha kha ke lab-e-baam pe wo aane laga
KHun hamara pas-e-diwar hua chahta hai
kucha-e-yar mein jata hai abas tu 'ghafil'
kyun musibat mein giraftar hua chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.